Stmoch issue
- Asking for:
- Self
- Patient:
- Male, 29 years old
- Location:
- Karachi
Assalam-o-Alaikum, Mujhe pichle 1 mahine se seene (chest) mein bharipan aur jakran (tightness) mehsoos ho rahi hai. Mera poora din letay rehne ka routine hai kyunke mein zayda bhaari kaam nahi karta. Mujhe dakar (burp) bohot zayda phansti hai. Lete hue dakar bilkul nahi aati, mujhe uth kar baithna parta hai aur dakar ke liye kaafi wait karna parta hai. Kuch din pehle aik General Physician ne stethoscope (scop) se mera chest check kiya tha aur unho ne dil (cardiac) ka koi issue nahi bataya, chest clear kaha tha. Maine haal hi mein Upper Abdomen ka Ultrasound karwaya hai jiski report bilkul normal hai, lekin us mein "Excessive gas shadows seen during scan" likha aaya hai (pait mein bohot zayda gas hai). Jab se mein Karachi aya hoon, yeh masla mazeed barh gaya hai. Yeh gas aur hazme ka masla mere khandaan mein grandparents ko bhi raha hai. Kindly mujhe guide karein ke is excessive gas aur seene ki jakran ke liye mujhe kya ehtiyat karni chahiye aur kaun si dawa behtar rahegi?
2 answers

Kindly take proper consultation so ur ur condition can be assessed

itni bari bat nai hy kuch hi dino ki medicine se complete theek ho jain gy inshAllah pareshan na hon detail bat kr lain kindly book appointment with me hr cheeze khany k qabil ho jain gy
Need a proper diagnosis?
Forum answers are general guidance and cannot replace an examination. For a diagnosis, book a consultation with a gastroenterologist — in person or by video.
