Dust Allergy
- Asking for:
- Self
- Patient:
- Male, 26 years old
- Location:
- Bahawal Nagar
Umeed hai aap khair makdam mein honge. Mein apni sehat ke hawalay se aap se mashwara chahta hoon. 14-16 saal ki umar se, mein balgham, seene ki jamawat, naak ki bandish, halka bukhar aur jism dard se musallas hoon. Agar thandi hawa ya pankhay ke neeche baithoon, toh symptoms barh jate hain. Dawa se kuch waqt behtari milti hai, lekin lambi muddat tak faida nahi hota. Islamabad Allergy Center ne dust allergy ka tashkhis diya aur 3 saal se vaccine de rahe hain. Behtari hui hai, lekin naak ab bhi band rehti hai, khaas taur par thanda ya doodh-dahi se tabiyat kharaab hoti hai. 10 saal pehle, ek doctor ne kaha tha ke agar behtari na aaye toh zindagi bhar yeh masla rahega. Aap se guzarish hai ke is marz ka koi ilaj hai? Agar aap madad kar sakein, toh mein mashkoor rahunga. Shukriya,
3 answers

can you please write in English and question should be straightforward?

ap ka dust allergy ka problem permanent theek ho skta hy nose block bhi theek ho jay ga koi itni bari bat nai hy or doodh dahi pr jr cheeze khany k qabil ho jain gy detail bat kr lain kindly book appointment with me
Need a proper diagnosis?
Forum answers are general guidance and cannot replace an examination. For a diagnosis, book a consultation with a immunologist — in person or by video.

