I need help
- Asking for:
- Self
- Patient:
- Male, 26 years old
- Location:
- Bahawalpur
Assalam-o-Alaikum Doctors, Meri umar 26 saal hai, wazan 71 kg aur qad 165 cm hai. Pichlay 1 se 6 mahinon se mujhe darj zail masail hain: • Bohat zyada acidity aur gas • Aksar qabz rehti hai • Har waqt pakhanay ki hajat mehsoos hoti hai lekin pakhana thora thora aata hai • Pakhana kartay waqt jalan hoti hai • Gala khushk rehta hai aur white balgham aati hai • Kabhi kabhi roti ya solid food nigalnay mein mushkil hoti hai, jaisay niwala phans raha ho • Maiday ke upper hissay mein dabao aur bojh mehsoos hota hai • Jism mein kamzori aur halka pan mehsoos hota hai, khas tor par pait aur kamar mein • Kamar se le kar hips tak aisa lagta hai jaisay jagah jagah neel paray hon ya jism daba hua ho • Hath aur paon aksar sun ho jatay hain. Aisa mehsoos hota hai jaisay un mein jaan nahi hai lekin harkaat kar sakta hoon • Kursi par kuch dair baithnay se jism ka pichla hissa sun ho jata hai • Seedha laitnay par sar ke pichlay hissay mein sun honay jaisa ehsaas hota hai • Gardan par dabao mehsoos hota hai • Aankhon mein jalan rehti hai Meharbani farma kar rehnumai karein ke yeh alamat kis bimari ki taraf ishara kar sakti hain aur kaun se tests karwanay chahiye? JazakAllah Khair.
9 answers

without Physical consultation can't comment

Agar kuch tests kar saktay hain to wo karwa kay consultation ho sakti hay.

W.Assalam kindly take appointment for full assessment. insha Allah yiu will get better after few medications

ap ka problem buhat jldi or thori si medicine se complete theek ho jay ga pareshan na hon detail bat kr lain kindly book appointment with me

Allah pak aap ko achi sehat de aameen. Ek to aap ko 5-6 kg weight kum krna hai. Doosra regular exercise start krein - mujhe lgta hai aap ko exercise ki kami hai. Teesra diet mei mirch/tez masalay/oil bilkul band kr dein. Aap ko diet mei fiber intake barhana hai, us k liye Ispaghol ya Chia seeds regular istimaal krein. Khanay k foran baad letna nhi hai. Paani zyada peena hai lazmi 1.5L. Galay k liye ek dfa ENT ko check krwayein. 2 mahinay Vitamin D supplements use krein. Tests mei CBC, ESR, RFTs, LFTs, Blood Glucose, TSH, aur Ultrasound abdomen krwana behtar hai. Ilamaat kisi ek khaas bemari ki taraf nhi ja rahin, miley juley maslay hain jin k liye upper di gyi hidayat pr amal krein. Ek dfa Medical specialist ko zaroor check krwayein.
Patient
6 months agoWaisy koi serious problem to nhi hoskti?
Dr. Syed Zohaib Maqbool
Doctor5 months agoUmmeed hai k nhi, lekin ek dfa medical specialist se check krwa lein aur jo tests likhey hain wo krwa lein ihtiyatan

medical specialist consultation

just click on video consultation I will give you a list of possible solutions pick the best one Apply and Enjoy Good Health Forever InshaAllah

Visit internal medicine specialist & he will prescribe medication & blood tests.

Pl book an appointment
Need a proper diagnosis?
Forum answers are general guidance and cannot replace an examination. For a diagnosis, book a consultation with a internal medicine specialist — in person or by video.
