Information
- Asking for:
- Self
- Patient:
- Male, 35 years old
- Location:
- Multan
Assalam o Alaikum Doctor Sahib, Main taqreeban 10 saal se daimi nazla, zukam, chheenkon, naak se pani aane aur balgham (Rasha) ke masle ka patient hun. Subah uthte hi bohat zyada chheenkain aati hain, naak se pani behta hai aur kabhi naak khushk hone par kharish bhi hoti hai. Is problem ka ilaj karwata hun to kuch arsay ke liye araam aa jata hai, lekin phir dobara wahi masla shuru ho jata hai. Ab main is ka temporary nahi balkay proper aur permanent solution chahta hun. Meherbani farma kar guide karein ke mujhe ENT Specialist ke paas jana chahiye ya Allergy Specialist ke paas? Aur Multan mein kis specialist se checkup karwana behtar rahega? Shukriya.
1 answer

Appointment la lain
Need a proper diagnosis?
Forum answers are general guidance and cannot replace an examination. For a diagnosis, book a consultation with a allergy specialist — in person or by video.
